Friday 8 June 2012

Wasaail Aur Unka Istemaal

Main kareeban 2 saal pehlay Afghanistan naukri k silsilay main gaya, wahan zayada waqt to mera Kabul main he guzra magar do teen baar mujhe door daraz ilaaqon main janay ka bhee ittefaaq hoa, Afghanistan k wast main aik sooba hai Daikundi jo k Kabul se 3 din ki musaafat pe hai, wajah rastay ka kacha aur khatarnaak hona hai, ghantay do ghantay baad paanch saat makan akathay nazar aa jatay hain aur phir veerana he veerana, un chotay chotay abaadi ki tukronn main se jab main guzra to herat zada reh gaya k kisi bhee shehar se aik pooray din ki mussaafat pe rehnay walay yeh log bijli se lutf andoz ho rahay thay, kuch nay tez betay paani main russian turbines laga rakhee theen to baqi gharon nay solar panel lagaiy hoay thay, pata yeh chala k wahan chobees ghantay bijli aati hai, kabhee load shedding ka samna nai karna parta.
Afghanistan k baray main aam raiy yeh hai k wo Pakistan se bohat peechay hai taraqee main lakin humaray liay sharam se doob marnay ka muqaam hai k uss pasmaanda mulk k log apnay wasaail ka hum se behter istemaal jaantay hain aur kartay hain. Kuch arsa pehlay aik khabar meri nazar se guzri thee k Khadim e Aala punjab janab Shehbaz Shareef sahab Solar energy k liay kuch kaam shuru karnay walay hain lakin bat sirf khabron tak he mehdood reh gai shayad.
Humaray payaray watan Pakistan main apnay wasaail ki kami nahin bas zaroorat hai unhain pehchannay aur un ka sahi istemaal karnay ki, jaisa k saal k baara maheenay dhoop solar energy bananay k kaam aa sakti hai hai, kallar kahar k paas pooray asia ka natural wind corridor hai wahan wind mills laga k energy haasil ki ja sakti hai aur koaylay k zakhaiyr kitnay zayada hain yeh aap log shayad mere se bhee behter jantay hon gay. Allah is qaum ko koi aik aisa sacha leader naseeb kar de is mulk k apnay wasaail ko baroo e kaar la k awam k masaail hal karay takay rental power jaise ghatiya mansoobay samnay na aiyn.

No comments:

Post a Comment