Tuesday 19 June 2012

Hamaray SayasatDaan aur Yazeed

Islam ka maazi khanghala jaiy to aik bohat bara waqeya samnay ata hai, yeh tha Waqeya e Karbala. is waaqey main Hazrat Imam Hussain (RA) ki shahadat hoi jis ki yaad main ajj bhe har saal Muharram ul Harram main sog manaya jata hai. jab hum is azeem hasti ki shahadat k pass e manzar main jatay hain to pata chalta hai k yazeed ko jab khalifa banaya ja raha tha to Hazrat Imam Hussain RA nay bait karnay se inkar kar dia tha jiski wajah yazeed ka kirdaar tha jo kaafi mutenaazay tha, tareekhdan likkhtay hain k yazeed aik sharabi, zaani aur darogh go insan tha, so is bina par Hazrat Imam Hussain RA nay bait na ki aur jiskay nateejay main unhain shaheed kar dia gaya, yun to is waqey ki tafseel bohat lambi hai k agar main likhna shuru kar dun to shayad yahan jagah kam par jaiy, so main asal maqsad ki taraf aata hun.
   Hamaray sayasatdan waise to sabhee doodh k dhulay masoom ul fitrat hain, yeh meri raiy nahin in syasatdanon k bewaqoof supporters ki raiy hai, aur jab in supporters se kaha jata hai k bei falan leader tumhara to zana ka murtaqib raha hai to agay se jawab ata hai "yeh uska zaati fail hai" jab poocha jata hai k falan leader to sharab peeta hai tab bhee yehi jawab humaray samnay rakh dia jata hai, rahi baat darogh goi ki to yeh app sab mere se behter jantay hain k kitnay % syasatdan sach boltay hain. ab sawal yeh paida hota hai k in teenon baaton ko agar hum tasleem kar lain k [sharab peena zaati fail hai], [zana karna zaati fail hai] [jhoot bolna yani darogh goi wo to syasat ka hissa hai aur majboori k tehat jhoot aksar bolna parta hai], to kaya Yazeed aik acha syasi leader nahin tha? kion k wo bhee to sirf yehi teen kaam karta tha jo k ya to zaati fail hain ya professional majboori. to agar Yazeed acha leader tha to Hazrat Imam Hussain RA nay uski mukhalifat kion ki?? Aal e Pak Shaheed hoi Be-Aabroo hoi to kaya bewajah hoi?? yeh woh sawal hain jo main aap sab se poochna chahta hun, meharbani kar k mujhe koi inka jawab de de ya phir in sab syasatdaon ka peecha chor k aisa leader talash kar le jo in aibonn se paak ho, aur Allah he behtar janta hai. 

Friday 8 June 2012

Wasaail Aur Unka Istemaal

Main kareeban 2 saal pehlay Afghanistan naukri k silsilay main gaya, wahan zayada waqt to mera Kabul main he guzra magar do teen baar mujhe door daraz ilaaqon main janay ka bhee ittefaaq hoa, Afghanistan k wast main aik sooba hai Daikundi jo k Kabul se 3 din ki musaafat pe hai, wajah rastay ka kacha aur khatarnaak hona hai, ghantay do ghantay baad paanch saat makan akathay nazar aa jatay hain aur phir veerana he veerana, un chotay chotay abaadi ki tukronn main se jab main guzra to herat zada reh gaya k kisi bhee shehar se aik pooray din ki mussaafat pe rehnay walay yeh log bijli se lutf andoz ho rahay thay, kuch nay tez betay paani main russian turbines laga rakhee theen to baqi gharon nay solar panel lagaiy hoay thay, pata yeh chala k wahan chobees ghantay bijli aati hai, kabhee load shedding ka samna nai karna parta.
Afghanistan k baray main aam raiy yeh hai k wo Pakistan se bohat peechay hai taraqee main lakin humaray liay sharam se doob marnay ka muqaam hai k uss pasmaanda mulk k log apnay wasaail ka hum se behter istemaal jaantay hain aur kartay hain. Kuch arsa pehlay aik khabar meri nazar se guzri thee k Khadim e Aala punjab janab Shehbaz Shareef sahab Solar energy k liay kuch kaam shuru karnay walay hain lakin bat sirf khabron tak he mehdood reh gai shayad.
Humaray payaray watan Pakistan main apnay wasaail ki kami nahin bas zaroorat hai unhain pehchannay aur un ka sahi istemaal karnay ki, jaisa k saal k baara maheenay dhoop solar energy bananay k kaam aa sakti hai hai, kallar kahar k paas pooray asia ka natural wind corridor hai wahan wind mills laga k energy haasil ki ja sakti hai aur koaylay k zakhaiyr kitnay zayada hain yeh aap log shayad mere se bhee behter jantay hon gay. Allah is qaum ko koi aik aisa sacha leader naseeb kar de is mulk k apnay wasaail ko baroo e kaar la k awam k masaail hal karay takay rental power jaise ghatiya mansoobay samnay na aiyn.

Khush Aam Deed

As Salam O Alaikum, 
Is Blog ka maqsad kia hai yeh to shayad main khud bhee abhee nahin janta, sirf itna keh sakta hun k is qaum ki soi hoi gherat ko jaganay ki aik choti c koshish hai, dekhiay kaya ban pata hai mujh se aur kahan tak kaamyaab ho paata hun main, angrezi meri thori kamzor hai is liay app logon ko urdu pe he guzara karna paray ga. Allah app sab ka Haami o Naasir ho.